खराब मेमोरी कार्ड कैसे ठीक करे।

Brijesh Yadav
0


     Sab se pehle apne memory card ko haath me lijiye or check kijiye ki aapka memory card pe koi bhi scretch ya tutne ki nishan pade hai agar aisa hoga toh aapki card chip andar se tut chuki hogi jo fir se thik nai ho sakti.
Agar aisa kuch bhi nahi hai or aapka memory card ya pendrive show nahi ho raha hai toh iska ek hi ilaaj hai ki memory card ko format kiya jaye.Or format karne ke liye aap mobile ka bhi use kar sakte hai.Par kuch memery cards aise hote hai ki mobile se kisi bhi tarah format nahi ho pate toh usse aap computer se format kar ke thik kar sakte hai.

 Note:-     

   
        kai baar aisa hota hai ki problem bahot minor hoti hai or ham usse bada samajh lete hai.Bilkul ussi tarah kahi baar memory card unmount ho jata hai or ham samjhte hai ki memory card bigad gaya hai lekin aisa kuch bhi nahi hai aap kuch hi steps ise fir se thik kar sakte hai.
Unmount memory card ko mount karne ke liye steps follow kare.-Setting>>SD Card Storage>>Mount SD Card.
Ab baat karte hai pendrive or memory card ki main problem ke bare me.Mujhe step by step follow kare.Sab se pehle apne corrept memory card ya pendrive ko computer se jode.Fir Apne Computer me Command Prompt ko open kare.
Ab image me dekhiye or sab se niche jo file hai uske aage diskpart like or Enter dabaye.
Ab kuch files khulegi vaha bhi aapko fir se sab se last wale aero (>) ke aage list disk likhna hai or enter karna hai.
STEP 2 :
Ab aapko kuch disks show hogi jisme se disk 0 computer ki hard disk hoti hai or disk 1 Memory card ki storage disk hoti hai.
Ab disk 1 me sab se last me select disk 1 type kare.
Ab agar aapka memory card thik hone layak hoga matlab availble hoga toh uska message show hoga agar nahi hoga toh invalid likha aayega.
Ab vahi process se clean likhe or enter kare fir disk clean ka message show hoga.
STEP 3 :
Ab fir se niche Creat Partition Primary type kare or enter dabaye.Fir Active type kare.
Ab fir se last me select partition 1 type kar ke enter dabaye.
Ab aap apni sd disk ko format kar sakte hai uske liye type kare format fs=fat32 or enter button par click kare.
Ab aapke memory card ya pendrive ki formating start ho jayegi.Format hone tak aapko 20-30 minute tak wait karna hoga.
Jab process 100% complete ho jaye tab aap command prompt se bahar aa jaiye.Or dekhe ki ab aapka memory kard format ho chuka hoga.Ye Baar Baar memory card ya pendrive ka bigad jana kaise hota hai yeh sab ? Kuch samajh hi nahi aata ?
Sahi Kaha Na ! Agar aap chahte hai ki aapka sd card ya pendrive ekdam takatak rahe or lambe samay tak bina kisi shikayat ke chalta rahe toh kripya kar ke yaha pe di hui safety tips ko follow kare.
Aap kabhi bhi 64 GB,128 GB Ya usse bhi high size ke memory card ka use na kare.Aise memory card me high storage ki vajah se bigad ne ke chances jyada hote hai or yeh aasani se format bhi nai ho pata.Isliye hamesha 2 GB se 16 GB tak ke memory card ka hi use kare.
Apne memory card ko baar baar phone se nikaliye mat ise screthich ki sambhavna badh jati hai.Or memory card ko kisi ko dijiye bhi mat usse apne phone me hi rakhe.
Apne Phone or Computer me antivirus install kar ke rakhe jisse aapke device me koi virus entry na le sake.Virus memory card ko bigaad sakta hai.Islie apne mobile me hamesha ek acha antivirus install kar ke rakhe.
Memory card ho ya pen drive usse ek limit tak hi bharna chahiye.For example Kabhi apne memory card ko computer me daal kar open kar ke dekhna agar aapka memory card over storage hoga toh computer me red dikhai dega jiska matlab hai khatara (Danger).Isliye memory card me hamesha thodi jagah khaali hi rehne dijiye.
Tags

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)