Free मे Android Game बनाये और पैसा कमाए

Brijesh Yadav
0


      Sabse Pehle aap logo ke man me kuchh sawal aayenge jiska mai yaha jawab de raha hu.....
1.Kisi Bhi Coding Ke Bina Android Game Bana Sakte Hai ?
Ji Ha,Agar aapko coding ki knowledge na ho fir bhi aap android game bana sakte hai.
2.Kya Android Game Bana Kar Usse Paise Kama Sakte Hai ?
Bilkul,Kama sakte hai.Jaise Ham ads network ke zariye website se paise kamate hai same vaise hi android game me bhi ads se paise kama sakte hai.
3.Android Game Free Me Bana Sakte Hai ? Or Game Banana Hard Hai Ya Easy ?
Jo me tarika batane wala hu usse aap free me hi khud android game develope kar paoge.Or Android Game banana easy hai bas aapko mere steps ko sahi se follow karne hoge.
4.Kya Android Game Ko App Store Par Publish Kar Sakte Hai ?
Yes,Aap Google Play Store Or dusre App store par bhi game ko Publish kar sakte hai


Aaj jo ham android game banane wale hai voh ek website ki madad se banayege.Jiska naam hai AppsGeyser
STEP 1 :
Android Game Kaise Banaye Or Android Game Se Paise Kaise Kamaye




Sab se pehle is website ko open kare -

CLICK HERE TO VISIT APPSGEYSER Website

Ab aapko game banane ke liye Categories dikhegi.Aap ko jo categori pasand ho uspe game bana sakte hai.
For example Yaha pe maine Popular Categorie me JumpMan Game ko select kiya hai.
STEP 2 :
Android Game Kaise Banaye Or Android Game Se Paise Kaise Kamaye


Ab next page me aapko game ke liye preview show kiya jayega or kuch menu setting karne ke liye kaha jayega.
Agar aap Game Ka Menu me kuch or likhna chahte hai toh likh sakte hai ya fir us menu ko jaisa hai vaisa hi rehne de.Aap chahe toh game ki background image ko bhi badal sakte hai.

Ab Next pe click kare.Next par click karne par aapko Game ka name enter karna hoga jo ekdam new hona chahiye or pehle kisi ne rakha hua nahi hona chaiye.Fir
 Next par click kare.

Ab aapko Game ke bare me description likhna hoga.Fir Next par click kare.

Ab aapko icon setting karna hai.agar aap game ke liye koi icon set karna chahte hai toh uski image upload kar de ya fir jo icon hai usse hi rehne de.Next par click kare.


Ab aap dekhege ki Game ki sari setting complete ho chuki hai.Fir Creat button par click kare.
STEP 3 :
Android Game Kaise Banaye Or Android Game Se Paise Kaise Kamaye

Creat par click karne ke baad ab aapko Sign Up karna hoga.
Image me dekhiye or jo fill karna hai voh sab complete kar dijiye.Fir Sign Up button par click kar dijiye.

STEP 4 :
Android Game Kaise Banaye Or Android Game Se Paise Kaise Kamaye

Ab aapki Game ka Dashboard show hoga.Ye bahot important step hai.ab aapko ek email send kiya jayega.Isliye aap new tab me apne email account ko open kare or dekhe ki Apps Geyser taraf se konsa email aaya hai or usse open kare.

Upar ki image me dekhiye.Or VERIFY YOUR EMAIL par click kare.
Email confirmation complete ho jane ke baad Email Verified ka ek message show hoga.Fir aap Go To Your Dashboard par click kare.

STEP 5 :
Android Game Kaise Banaye Or Android Game Se Paise Kaise Kamaye

Ab jaise image me bataya hai vaisa ek new page open hoga.Jisme aap apne app ka preview dekh sakte hai,App ko link se download kar sakte hai or vahi link ko logo ke saath share kar ke dusre logo ko bhi download karva sakte hai.Isliye us link ko kahi copy kar ke save kar dijiye.
2nd option se aap App ko publish kar sakte hai.3rd option se amazone appstore par App ko publish kar sakte hai.4th option se aap Apni App ko monetize kar ke earning kar sakte hai.
Congratulations ! Ab aapki sari process complete ho chuki hai or bina kisi coding ke ek self made Game bhi creat ho chuki hai.
Game Se Paise Kaise Kamate Hai - How To Make Money On Android Game

Aaj tak hamne apne android phone me bahot si games kheli hogi.Jisme starting me ya game khelte vaqt jo niche ki taraf ads show hote hai vahi se voh game banane wala banda apni kamai karta hai.Yani ki jab bhi us ads par koi click karta hai toh publisher ko uske paise milte hai.
Bilkul ussi tarah jab ham koi new game banate hai tab apni game ko monetize kar ke ads network se ads laga ke erning kar sakte hai.Game se earning karne ke liye jayda se jyada logo ke mobile me aapki game install honi chahiye or logo ko aapki game pasand bhi aani chahiye.
Jab hamari game complete ban jati hai tab AppsGeyser hame or ek email send karta hai jisse ham apni game ko kisi bhi Appstore par publish kar sakte hai.
Tags

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)
CLOSE ADS
CLOSE ADS