OLX और Quikr से पैसा कैसे कमाये।

Brijesh Yadav
0


OLX or Quikr ke Jariye Paise Kamane ka tarika

Kin Chijo ki Jarurat hai


Is work ko karne ke liye apko cheezo ko parakhne ki or unhe sell karne ki knowledge honi chahiye tabhi aap is business me success ho sakte hai agar aapko samaan ko kharidne or bechne ki knowledge nahi hai fir bhi aap ye work start kar sakte hai thode dino me hi ap isme perfect ho jayenge is business ko start karne ke liye apko na shop ki jarurat hai na godown ki aap ise in dono ke bina hi kar sakte hai.
ab apke dimag me ek question to uth raha hoga ki is business me investment karna hai ya nahi, to apne ye bhi suna hoga ki paise se hi paise kamaya ja sakta hai is business me bhi apko kuch paisa invest karna hai to chaliye jante hai is business me apko karna kya hai.

Kaise suru kare “Olx and Quikr Business”


To dosto aap log jante honge ki olx or quikr dono hi selling website hai yaha par aap apna purana or new maal sell kar sakte hai aapko bhi kuch aisa hi karna hai apko quikr or olx site se product ko kharidna hai or usme kuch extra value add karke use hame re-sell karna hai.

Product aisa kharide jispar kharidne wala trust kar sake or apke dwara bataye gaye price par use kharid sake.

olx ya quikr par jo log apna samaan bech rahe hai unse apko jitna kam ho sake price ko kam karakar kharidna hai or usme kuch value apni taraf se add karke use aap apne local area me ya fir olx or quikr par hi sell kar sakte hai isse apko profit bhi hoga jise aap isi business me invest karte jayenge or dheere dheere olx or quikr par saman ko pehle se jyada kharidkar sell karne lagenge agar ek bar aap saman ko parakhna or use khareed kar jyada value me sale karna sikh gaye to aap is business se acchi kamayi kar sakte hai. mere kuch dost hai jo is business se par month 10000 se 12000 rupees kama rahe hai aap bhi kama sakte hai ye business simple or secure hai.

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)
CLOSE ADS
CLOSE ADS